zabt se yuuñ bhī kaam liyā hai
kāñToñ meñ ārām liyā hai
chāhe jidhar le jaa.e mohabbat
ab to dāman thaam liyā hai
kaash vahī ārām se rahtā
jis ne mirā ārām liyā hai
husn ne jab Thokar khaa.ī hai
ishq ne baazū thaam liyā hai
saaqī kā ehsāñ nahīñ ham par
ḳhuun diyā hai jaam liyā hai
Thokar khaa.ī baḌh ga.e aage
nākāmī se kaam liyā hai
husn-e-butāñ ko dekh ke 'shārib'
ham ne ḳhudā kā naam liyā hai
zabt se yun bhi kaam liya hai
kanTon mein aaram liya hai
chahe jidhar le jae mohabbat
ab to daman tham liya hai
kash wahi aaram se rahta
jis ne mera aaram liya hai
husn ne jab Thokar khai hai
ishq ne bazu tham liya hai
saqi ka ehsan nahin hum par
KHun diya hai jam liya hai
Thokar khai baDh gae aage
nakaami se kaam liya hai
husn-e-butan ko dekh ke 'shaarib'
hum ne KHuda ka nam liya hai
Source :
- Book : Firdaus-e-Nazar (Pg. 60)
- Author : Sultan Haider Khan
-
Publication : Urdu Acadami U.P
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.