zahar ek duje ke andar bo raha hai aaj kal
zahar ik duuje ke andar bo rahā hai aaj kal
kis qadar zahrīlā insāñ ho rahā hai aaj kal
shahr apnā log apne aur apnā ghar bhī hai
aadmī kyuuñ phir bhī tanhā ho rahā hai aaj kal
vaqt se pahle mire bachche baḌe hone lage
ik ajab sā ye zamāna ho rahā hai aaj kal
aa.ine ke sāmne jaane se katrāte haiñ log
aa.ina bhī kitnā tanhā ho rahā hai aaj kal
phuul titlī rang ḳhushbū dost aur dushman sabhī
kāġhazī har shai kā paikar ho rahā hai aaj kal
is mashīnī daur kā in.aam hai ye ai 'zafar'
aadmī pahchān apnī kho rahā hai aaj kal
zahar ek duje ke andar bo raha hai aaj kal
kis qadar zahrila insan ho raha hai aaj kal
shahr apna log apne aur apna ghar bhi hai
aadmi kyun phir bhi tanha ho raha hai aaj kal
waqt se pahle mere bachche baDe hone lage
ek ajab sa ye zamana ho raha hai aaj kal
aaine ke samne jaane se katraate hain log
aaina bhi kitna tanha ho raha hai aaj kal
phul titli rang KHushbu dost aur dushman sabhi
kaghazi har shai ka paikar ho raha hai aaj kal
is mashini daur ka inam hai ye ai 'zafar'
aadmi pahchan apni kho raha hai aaj kal
- Book : خموش لب (Pg. 121)
- Author : ظفر محمود
- Publication : عرشیہ پبلی کیشنز دہلی۔95 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.