zahe-koshish-e-kaamyab-e-mohabbat
zahe-koshish-e-kāmyāb-e-mohabbat
hamesha rahe ham ḳharāb-e-mohabbat
sukūn-e-mohabbat jo mumkin nahīñ hai
baḌhā dījiye iztirāb-e-mohabbat
jhukī jā rahī haiñ vo ma.asūm nazreñ
diyā jā rahā hai javāb-e-mohabbat
bilā-vāsta ham se āñkheñ milāo
rahe darmiyāñ kyuuñ hijāb-e-mohabbat
tirī bazm jannat thī lekin karūñ kyā
uThā le gayā iztirāb-e-mohabbat
na tarsā na tarsā mohabbat ke saaqī
pilā de pilā de sharāb-e-mohabbat
hue haiñ vo jis din se nārāz 'sherī'
taraqqī pe hai iztirāb-e-mohabbat
zahe-koshish-e-kaamyab-e-mohabbat
hamesha rahe hum KHarab-e-mohabbat
sukun-e-mohabbat jo mumkin nahin hai
baDha dijiye iztirab-e-mohabbat
jhuki ja rahi hain wo masum nazren
diya ja raha hai jawab-e-mohabbat
bila-wasta hum se aankhen milao
rahe darmiyan kyun hijab-e-mohabbat
teri bazm jannat thi lekin karun kya
uTha le gaya iztirab-e-mohabbat
na tarsa na tarsa mohabbat ke saqi
pila de pila de sharab-e-mohabbat
hue hain wo jis din se naraaz 'sheri'
taraqqi pe hai iztirab-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.