zahe qismat ki qasid yar ka le kar payam aaya
zahe qismat ki qāsid yaar kā le kar payām aaya
magar afsos-sad-afsos vaqt-e-iḳhtitām aaya
karāmat dekhiye saaqī kī mastāna nigāhoñ kī
ki jis dam uTh ga.iiñ rindoñ talak ḳhud chal ke jaam aaya
hasad se haath mal kar rah ga.e saare raqīb us dam
zabāñ par jab kisī kī ittifāqan merā naam aaya
taras aatā hai us kī bebasī par ḳhud gulistāñ ko
jo taa.ir fasl-e-gul ke āte-āte zer-e-dām aaya
karoge yaad jab duniyā se ham ho jā.eñge ruḳhsat
kahoge tab yahī tū thā jo har mushkil meñ kaam aaya
ḳhatā kī ho kisī ne uñgliyāñ merī hī samt uTThīñ
kisī kā jurm ho sar par mire hī ittihām aaya
adhūrā-pan azal se thā likhā shāyad muqaddar meñ
ki ḳhushiyāñ kyā mire hisse meñ ġham bhī nā-tamām aaya
burā jab vaqt aaya sab ne 'yāsir' raah lī apnī
na koī chārāgar Thahrā na koī yaar kaam aaya
zahe qismat ki qasid yar ka le kar payam aaya
magar afsos-sad-afsos waqt-e-iKHtitam aaya
karamat dekhiye saqi ki mastana nigahon ki
ki jis dam uTh gain rindon talak KHud chal ke jam aaya
hasad se hath mal kar rah gae sare raqib us dam
zaban par jab kisi ki ittifaqan mera nam aaya
taras aata hai us ki bebasi par KHud gulistan ko
jo tair fasl-e-gul ke aate-ate zer-e-dam aaya
karoge yaad jab duniya se hum ho jaenge ruKHsat
kahoge tab yahi tu tha jo har mushkil mein kaam aaya
KHata ki ho kisi ne ungliyan meri hi samt uTThin
kisi ka jurm ho sar par mere hi ittiham aaya
adhura-pan azal se tha likha shayad muqaddar mein
ki KHushiyan kya mere hisse mein gham bhi na-tamam aaya
bura jab waqt aaya sab ne 'yasir' rah li apni
na koi chaaragar Thahra na koi yar kaam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.