zahe zinda-dili gham ki gul-afshani nahin jati
zahe zinda-dilī ġham kī gul-afshānī nahīñ jaatī
kuchh aise ashk bhī haiñ jin kī tābānī nahīñ jaatī
talātum-ḳhez maujoñ kā talātum tham gayā lekin
jo barpā hai kināroñ par vo tuġhyānī nahīñ jaatī
mire rahbar mujhe ye kaun-sī manzil pe le aa.e
ki mujh se sūrat-e-manzil bhī pahchānī nahīñ jaatī
hazāroñ āshiyāne phūñk Daale sehn-e-gulshan meñ
magar barq-e-sitam kī sho.ala-afshānī nahīñ jaatī
pilātā hī rahā saaqī hameñ tū zahr ke sāġhar
tire rindoñ kī phir bhī rind-sāmānī nahīñ jaatī
na jaane kyā huā 'armān' asar apnī duāoñ kā
duā.eñ karte haiñ lekin pareshānī nahīñ jaatī
zahe zinda-dili gham ki gul-afshani nahin jati
kuchh aise ashk bhi hain jin ki tabani nahin jati
talatum-KHez maujon ka talatum tham gaya lekin
jo barpa hai kinaron par wo tughyani nahin jati
mere rahbar mujhe ye kaun-si manzil pe le aae
ki mujh se surat-e-manzil bhi pahchani nahin jati
hazaron aashiyane phunk Dale sehn-e-gulshan mein
magar barq-e-sitam ki shoala-afshani nahin jati
pilata hi raha saqi hamein tu zahr ke saghar
tere rindon ki phir bhi rind-samani nahin jati
na jaane kya hua 'arman' asar apni duaon ka
duaen karte hain lekin pareshani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.