zahin aap ke dar par sadaen dete rahe
zahīn aap ke dar par sadā.eñ dete rahe
jo nā-samajh the vo dar-dar sadā.eñ dete rahe
na jaane kaun sī aa.e sadā pasand use
so ham sadā.eñ badal kar sadā.eñ dete rahe
palaT ke dekhnā to us kā farz bantā thā
sadā.eñ farz thiiñ jin par sadā.eñ dete rahe
maiñ apne jism se bāhar talāshtā thā unheñ
vo mere jism ke andar sadā.eñ dete rahe
hamāre ashkoñ kī āvāz sun ke dauḌ paḌe
vo jin kī pyaas ko sāgar sadā.eñ dete rahe
tumhārī yaad meñ phir rat-jagā huā kal aur
sahar meñ niiñd ke paikar sadā.eñ dete rahe
zahin aap ke dar par sadaen dete rahe
jo na-samajh the wo dar-dar sadaen dete rahe
na jaane kaun si aae sada pasand use
so hum sadaen badal kar sadaen dete rahe
palaT ke dekhna to us ka farz banta tha
sadaen farz thin jin par sadaen dete rahe
main apne jism se bahar talashta tha unhen
wo mere jism ke andar sadaen dete rahe
hamare ashkon ki aawaz sun ke dauD paDe
wo jin ki pyas ko sagar sadaen dete rahe
tumhaari yaad mein phir rat-jaga hua kal aur
sahar mein nind ke paikar sadaen dete rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.