zahr-e-ġham be-mazā nahīñ hotā
phir bhī kyoñ hausla nahīñ hotā
dekh letā hai mujh meñ aks apnā
aur vo ḳhud aa.ina nahīñ hotā
saare rishte charāġh jalne tak
phir koī āshnā nahīñ hotā
maslahat ban ga.ī hai mohr-e-sukūt
ab koī lab-kushā nahīñ hotā
lab na kholo ki log kahte haiñ
is zamāne meñ kyā nahīñ hotā
kyā hañse koī muskurā.e kyā
raqs-e-gul be-sabā nahīñ hotā
kyā kaheñ vaqt kī kamāñ ko 'ayāz'
tiir koī ḳhatā nahīñ hotā
zahr-e-gham be-maza nahin hota
phir bhi kyon hausla nahin hota
dekh leta hai mujh mein aks apna
aur wo KHud aaina nahin hota
sare rishte charagh jalne tak
phir koi aashna nahin hota
maslahat ban gai hai mohr-e-sukut
ab koi lab-kusha nahin hota
lab na kholo ki log kahte hain
is zamane mein kya nahin hota
kya hanse koi muskurae kya
raqs-e-gul be-saba nahin hota
kya kahen waqt ki kaman ko 'ayaz'
tir koi KHata nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.