zahr-e-gham KHub piya humne sharabon se bache
zahr-e-ġham ḳhuub piyā ham ne sharāboñ se bache
jhel kar kitne azāboñ ko azāboñ se bache
sochne baiTheñ to soche hī chale jaate haiñ
ḳhauf kāñToñ kā ajab thā ki gulāboñ se bache
kitne ma.asūm the chehre nahīñ dekhe tum ne
vo jo rah kar bhī naqāboñ meñ naqāboñ se bache
jāgtā ho to na dekhe koī mahloñ kī taraf
kis tarah soyā huā aadmī ḳhvāboñ se bache
is hikāyat meñ koī jhuuT na kar de shāmil
is meñ sachchā.ī agar hai to kitāboñ se bache
kaash ulaT de koī sahrā meñ samundar lā kar
qāfila Duub hī jaa.e to sarāboñ se bache
zahr-e-gham KHub piya hum ne sharabon se bache
jhel kar kitne azabon ko azabon se bache
sochne baiThen to soche hi chale jate hain
KHauf kanTon ka ajab tha ki gulabon se bache
kitne masum the chehre nahin dekhe tum ne
wo jo rah kar bhi naqabon mein naqabon se bache
jagta ho to na dekhe koi mahlon ki taraf
kis tarah soya hua aadmi KHwabon se bache
is hikayat mein koi jhuT na kar de shamil
is mein sachchai agar hai to kitabon se bache
kash ulaT de koi sahra mein samundar la kar
qafila Dub hi jae to sarabon se bache
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.