zahr-e-saat hi piyen jism tah-e-KHak to ho
zahr-e-sā.at hī piyeñ jism tah-e-ḳhāk to ho
sard āñkhoñ meñ koī ḳhvāhish-e-nāpāk to ho
ham bhī raushan hoñ utāreñ ye gunāhoñ kā libās
tū baraste hue paanī kī tarah paak to ho
munjamid ḳhuun ragoñ kā hai ise pī jaa.eñ
raat kā zaḳhm-e-siyah-rañg jigar-chāk to ho
jism-e-ḳhākī se bhī tanvīr kā rishta hai zarūr
surḳh sho'loñ se lipaT jā ḳhas-o-ḳhāshāk to ho
aaj phir zehn kī shāḳhoñ pe haiñ sho'loñ ke gulāb
chashm-e-sañg un ko bhī dekhe zarā namnāk to ho
zahr-e-saat hi piyen jism tah-e-KHak to ho
sard aankhon mein koi KHwahish-e-napak to ho
hum bhi raushan hon utaren ye gunahon ka libas
tu baraste hue pani ki tarah pak to ho
munjamid KHun ragon ka hai ise pi jaen
raat ka zaKHm-e-siyah-rang jigar-chaak to ho
jism-e-KHaki se bhi tanwir ka rishta hai zarur
surKH sho'lon se lipaT ja KHas-o-KHashak to ho
aaj phir zehn ki shaKHon pe hain sho'lon ke gulab
chashm-e-sang un ko bhi dekhe zara namnak to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.