zahr hun shahd koi ghol raha hai mujh mein
zahr huuñ shahd koī ghol rahā hai mujh meñ
kaun hai terī tarah bol rahā hai mujh maiñ
ab mohabbat na karūñgā ye qasam khaa.ī thī
band darvāza koī khol rahā hai mujh meñ
ḳhud ko apne hī maiñ qadmoñ pe jhukā letā huuñ
ek hī fan hai jo anmol rahā hai mujh meñ
apnī jannat maiñ banā kar ke miTā detā thā
muddatoñ tak koī bahlol rahā hai mujh meñ
mere siina meñ ye dil hai ki koī saudāgar
mere ehsās kā dhan tol rahā hai mujh meñ
zahr hun shahd koi ghol raha hai mujh mein
kaun hai teri tarah bol raha hai mujh main
ab mohabbat na karunga ye qasam khai thi
band darwaza koi khol raha hai mujh mein
KHud ko apne hi main qadmon pe jhuka leta hun
ek hi fan hai jo anmol raha hai mujh mein
apni jannat main bana kar ke miTa deta tha
muddaton tak koi bahlol raha hai mujh mein
mere sina mein ye dil hai ki koi saudagar
mere ehsas ka dhan tol raha hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.