zahr ke jam hain bahut sare
zahr ke jaam haiñ bahut saare
sach ke in.aam haiñ bahut saare
ye jo un kā salām aayā hai
is meñ paiġhām haiñ bahut saare
zikr kis kā kareñ kise chhoḌeñ
zehn meñ naam haiñ bahut saare
sādgī kam-navā.ī nādānī
ham pe ilzām haiñ bahut saare
ek hī kaam to nahīñ ham ko
aur bhī kaam haiñ bahut saare
bach ke chalnā nahīñ 'na.īm' āsāñ
daam har gaam haiñ bahut saare
zahr ke jam hain bahut sare
sach ke inam hain bahut sare
ye jo un ka salam aaya hai
is mein paigham hain bahut sare
zikr kis ka karen kise chhoDen
zehn mein nam hain bahut sare
sadgi kam-nawai nadani
hum pe ilzam hain bahut sare
ek hi kaam to nahin hum ko
aur bhi kaam hain bahut sare
bach ke chalna nahin 'naim' aasan
dam har gam hain bahut sare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.