zahr se zahr kaTe kanTe se kirchi nikle
zahr se zahr kaTe kāñTe se kirchī nikle
de nayā dard ki ye Tiis purānī nikle
zindagī yuuñ to nayā lafz nahīñ hai lekin
vaqt ke saath na.e is ke ma'ānī nikle
kyoñ koī kokh jo suunī ho vo sharminda ho
kyā zarūrī hai ki har siip se motī nikle
'ishq kī jhiil meñ utro to sañbhal kar utro
'ain mumkin hai ye ummīd se gahrī nikle
ek vo shaḳhs jise dil ne ḳhudā jaanā ho
sochiye kyā ho agar vo bhī farebī nikle
chhaTpaTāte haiñ udāsī se nikalne ko magar
qaid-e-sayyād se kaise koī panchhī nikle
vo tarīqa mujhe marne kā batāo jis se
ḳhud-kushī bhī na lage jaan bhī jaldī nikle
zahr se zahr kaTe kanTe se kirchi nikle
de naya dard ki ye Tis purani nikle
zindagi yun to naya lafz nahin hai lekin
waqt ke sath nae is ke ma'ani nikle
kyon koi kokh jo suni ho wo sharminda ho
kya zaruri hai ki har sip se moti nikle
'ishq ki jhil mein utro to sanbhal kar utro
'ain mumkin hai ye ummid se gahri nikle
ek wo shaKHs jise dil ne KHuda jaana ho
sochiye kya ho agar wo bhi farebi nikle
chhaTpaTate hain udasi se nikalne ko magar
qaid-e-sayyaad se kaise koi panchhi nikle
wo tariqa mujhe marne ka batao jis se
KHud-kushi bhi na lage jaan bhi jaldi nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.