zahr shayad faza mein shamil hai
zahr shāyad fazā meñ shāmil hai
ik ghuTan sī havā meñ shāmil hai
mere dushman tujhe ḳhabar hī nahīñ
tū mirī har du'ā meñ shāmil hai
ik qalandar ne jaate jaate kahā
merī ḳhushbū vafā meñ shāmil hai
yaad 'ahmad' abhī talak merī
us ke dast-e-hinā meñ shāmil hai
zahr shayad faza mein shamil hai
ek ghuTan si hawa mein shamil hai
mere dushman tujhe KHabar hi nahin
tu meri har du'a mein shamil hai
ek qalandar ne jate jate kaha
meri KHushbu wafa mein shamil hai
yaad 'ahmad' abhi talak meri
us ke dast-e-hina mein shamil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.