zahr shirin hai sach piye jao
Interesting Fact
1968
zahr shīrīñ hai sach piye jaao
hamdamo mar ke bhī jiye jaao
imtihān-e-vafā hameñ manzūr
intihā-e-sitam kiye jaao
khul na jaa.e fareb-e-chara-garī
zaḳhm har haal meñ siye jaao
raakh kā Dher haiñ mah-o-anjum
raakh meñ justujū kiye jaao
rah-ravī kā yahī taqāzā hai
rāhzan ko duā diye jaao
zahr shirin hai sach piye jao
hamdamo mar ke bhi jiye jao
imtihan-e-wafa hamein manzur
intiha-e-sitam kiye jao
khul na jae fareb-e-chara-gari
zaKHm har haal mein siye jao
rakh ka Dher hain mah-o-anjum
rakh mein justuju kiye jao
rah-rawi ka yahi taqaza hai
rahzan ko dua diye jao
- Book : Harf-e-wafa (Pg. 84)
- Author : Parveen Fana Sayyad
- Publication : Maktaba Funoon, Lahore (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.