zahrab-e-gham ko aab-e-baqa kah liya karo
zahrāb-e-ġham ko āb-e-baqā kah liyā karo
har jaur-e-nā-ravā ko 'atā kah liyā karo
ye daur daur-e-lāf-bayānī hai dosto
nāḳhun pe ḳhuun ho to hinā kah liyā karo
sar-sar chale to ḳhūbi-e-guftār ke tufail
mauj-e-nasīm-o-bād-e-sabā kah liyā karo
kam-koshiyoñ pe apnī na sharmāo tum kabhī
nākāmiyoñ ko hukm-e-ḳhudā kah liyā karo
is daur-e-pur-fitan meñ jo ḳhūbī nazar na aa.e
apnī nigāh hī kī ḳhatā kah liyā karo
jalvoñ ke is hujūm meñ majbūr hai nazar
qasdan uThe to sahv-e-ravā kah liyā karo
zahrab-e-gham ko aab-e-baqa kah liya karo
har jaur-e-na-rawa ko 'ata kah liya karo
ye daur daur-e-laf-bayani hai dosto
naKHun pe KHun ho to hina kah liya karo
sar-sar chale to KHubi-e-guftar ke tufail
mauj-e-nasim-o-baad-e-saba kah liya karo
kam-koshiyon pe apni na sharmao tum kabhi
nakaamiyon ko hukm-e-KHuda kah liya karo
is daur-e-pur-fitan mein jo KHubi nazar na aae
apni nigah hi ki KHata kah liya karo
jalwon ke is hujum mein majbur hai nazar
qasdan uThe to sahw-e-rawa kah liya karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.