zahrab-e-tishnagi ka maza humse puchhiye
zahrāb-e-tishnagī kā maza ham se pūchhiye
guzrī huī sadī kā maza ham se pūchhiye
ik pal ḳhayāl-e-yār meñ ham munhamik rahe
ik pal meñ ik sadī kā maza ham se pūchhiye
shohrat kī be-ḳhudī kā maza aap jāniye
izzat kī zindagī kā maza ham se pūchhiye
kaif-o-nashāt jis se milā ham ko bārhā
is karb-e-āgahī kā maza ham se pūchhiye
fikr-e-jahāñ hai aur na luTne kā ḳhauf hai
qallāsh zindagī kā maza ham se pūchhiye
fikr-e-suḳhan meñ ham ne zamāne kī sair kī
'ārif' suḳhanvarī kā maza ham se pūchhiye
zahrab-e-tishnagi ka maza hum se puchhiye
guzri hui sadi ka maza hum se puchhiye
ek pal KHayal-e-yar mein hum munhamik rahe
ek pal mein ek sadi ka maza hum se puchhiye
shohrat ki be-KHudi ka maza aap jaaniye
izzat ki zindagi ka maza hum se puchhiye
kaif-o-nashat jis se mila hum ko barha
is karb-e-agahi ka maza hum se puchhiye
fikr-e-jahan hai aur na luTne ka KHauf hai
qallash zindagi ka maza hum se puchhiye
fikr-e-suKHan mein hum ne zamane ki sair ki
'arif' suKHanwari ka maza hum se puchhiye
- Book : Khushboo Ke Ta'aqub main (Pg. 35)
- Author : Dr. Arif Ansari
- Publication : Faazli Urdu Society,Burhanpur (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.