zahrab ho ata ki mai-e-lala-gun mile
zahrāb ho atā ki mai-e-lāla-gūñ mile
saaqī kisī tarah mire dil ko sukūñ mile
ham log haiñ zamīn kī zīnat vagarna yuuñ
jhuk kar zamīn se falak-e-nīlgūñ mile
jin kī matā.a-e-aql pe duniyā ko naaz thā
vo bhī fareb-ḳhurda-e-duniyā-e-dūñ mile
dānishvaroñ ko dasht meñ dekhā gurez-pā
ahl-e-junūñ shanāvar-e-dariyā-e-ḳhūñ mile
ai ham-safar bahār kī manzil qarīb hai
har samt aaj raah meñ sailāb-e-ḳhūñ mile
ab tum ko ranj hai ki vo dīvāna ho gayā
aisā hī thā to 'ābid'-e-vahshī se kyoñ mile
zahrab ho ata ki mai-e-lala-gun mile
saqi kisi tarah mere dil ko sukun mile
hum log hain zamin ki zinat wagarna yun
jhuk kar zamin se falak-e-nilgun mile
jin ki mataa-e-aql pe duniya ko naz tha
wo bhi fareb-KHurda-e-duniya-e-dun mile
danishwaron ko dasht mein dekha gurez-pa
ahl-e-junun shanawar-e-dariya-e-KHun mile
ai ham-safar bahaar ki manzil qarib hai
har samt aaj rah mein sailab-e-KHun mile
ab tum ko ranj hai ki wo diwana ho gaya
aisa hi tha to 'abid'-e-wahshi se kyon mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.