zahrab pine wale amar ho ke rah gae
zahrāb piine vaale amar ho ke rah ga.e
naisāñ ke chand qatre guhar ho ke rah ga.e
ahl-e-junūñ vo kyā hue jin ke baġhair ham
ahl-e-ḳhirad ke dast-e-nigar ho ke rah ga.e
sahrā ga.e to shahr meñ ik shor mach gayā
jab lauT aa.e shahr-badar ho ke rah ga.e
ummīd ke habāboñ pe ugte rahe mahal
jhoñkā sā ek aayā khañDar ho ke rah ga.e
rāhoñ pe dauḌte rahe ātish ba-zer-pā
manzil milī to ḳhāk-basar ho ke rah ga.e
āvāragard misl bagūloñ ke ham rahe
baiThe to gard-e-rāhguzar ho ke rah ga.e
baḌhte rahe sarāboñ pe mānind-e-tishnagī
paanī milā to ḳhushk shajar ho ke rah ga.e
nazreñ talāsh-e-husn meñ jā pahuñchīñ tā ufuq
jalve tamām hadd-e-nazar ho ke rah ga.e
pābandiyoñ meñ the to dikhāte the mojaze
āzādiyoñ meñ shobada-gar ho ke rah ga.e
Dhāle ga.e to pattharoñ se phuuT nikle raag
toḌe ga.e to raqs-e-sharar ho ke rah ga.e
chañg o rabāb meñ rahe mānind-e-naġhmagī
teġh o sināñ meñ siina sipar ho ke rah ga.e
muñh jitne utnī bāteñ kahī jā rahī haiñ aaj
yuuñ mushtahar hue ki ḳhabar ho ke rah ga.e
'vāmiq' do-dhārī teġh hai vo lahja-e-jadīd
naġhme tamām ḳhuun meñ tar ho ke rah ga.e
zahrab pine wale amar ho ke rah gae
naisan ke chand qatre guhar ho ke rah gae
ahl-e-junun wo kya hue jin ke baghair hum
ahl-e-KHirad ke dast-e-nigar ho ke rah gae
sahra gae to shahr mein ek shor mach gaya
jab lauT aae shahr-badar ho ke rah gae
ummid ke hababon pe ugte rahe mahal
jhonka sa ek aaya khanDar ho ke rah gae
rahon pe dauDte rahe aatish ba-zer-pa
manzil mili to KHak-basar ho ke rah gae
aawaragard misl bagulon ke hum rahe
baiThe to gard-e-rahguzar ho ke rah gae
baDhte rahe sarabon pe manind-e-tishnagi
pani mila to KHushk shajar ho ke rah gae
nazren talash-e-husn mein ja pahunchin ta ufuq
jalwe tamam hadd-e-nazar ho ke rah gae
pabandiyon mein the to dikhate the mojaze
aazadiyon mein shobada-gar ho ke rah gae
Dhaale gae to pattharon se phuT nikle rag
toDe gae to raqs-e-sharar ho ke rah gae
chang o rabab mein rahe manind-e-naghmagi
tegh o sinan mein sina sipar ho ke rah gae
munh jitne utni baaten kahi ja rahi hain aaj
yun mushtahar hue ki KHabar ho ke rah gae
'wamiq' do-dhaari tegh hai wo lahja-e-jadid
naghme tamam KHun mein tar ho ke rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.