zaif ruh hui par badan Dhala ki nahin
za.iif ruuh huī par badan Dhalā ki nahīñ
ke tere des terā rāsta banā ki nahīñ
haiñ apnī zaat ke munkir zamīn-o-āb bhī kyā
udaas rañg shajar kā harā huā ki nahīñ
ye bahs chhoḌ ke kitnī hasīn hai duniyā
tū ye batā ki terā dil kahīñ lagā ki nahīñ
maiñ ḳhud se ruuTh ke duniyā kā ho chukā thā magar
vo mujh ko chhoḌ ke apnā bhī ho sakā ki nahīñ
nahīñ vo haal ke ehsās-e-nau barat pā.ūñ
tū fāsle hī se mujh ko sambhāl aa ki nahīñ
zaif ruh hui par badan Dhala ki nahin
ke tere des tera rasta bana ki nahin
hain apni zat ke munkir zamin-o-ab bhi kya
udas rang shajar ka hara hua ki nahin
ye bahs chhoD ke kitni hasin hai duniya
tu ye bata ki tera dil kahin laga ki nahin
main KHud se ruTh ke duniya ka ho chuka tha magar
wo mujh ko chhoD ke apna bhi ho saka ki nahin
nahin wo haal ke ehsas-e-nau barat paun
tu fasle hi se mujh ko sambhaal aa ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.