zaKHm ab dil ke chamak dete hain hiron ki tarah
zaKHm ab dil ke chamak dete hain hiron ki tarah
Mohan Seerat Ajmeri
MORE BYMohan Seerat Ajmeri
zaḳhm ab dil ke chamak dete haiñ hīroñ kī tarah
ham tire shahr meñ rahte haiñ amīroñ kī tarah
kar diyā qaid hameñ vaqt kī dīvāroñ ne
varna ham log bhī the chhūTte tīroñ kī tarah
shaam ko Dūbte sūraj kī chamaktī surḳhī
duur tak phail ga.ī ḳhūnī jazīroñ kī tarah
jab bhī aatī hai koī fitna jagā detī hai
terī muskān tire lab pe sharīroñ kī tarah
ye milā mujh ko sila merī vafā kā sīrat
likh diyā naam mirā us ne lakīroñ kī tarah
zaKHm ab dil ke chamak dete hain hiron ki tarah
hum tere shahr mein rahte hain amiron ki tarah
kar diya qaid hamein waqt ki diwaron ne
warna hum log bhi the chhuTte tiron ki tarah
sham ko Dubte suraj ki chamakti surKHi
dur tak phail gai KHuni jaziron ki tarah
jab bhi aati hai koi fitna jaga deti hai
teri muskan tere lab pe shariron ki tarah
ye mila mujh ko sila meri wafa ka sirat
likh diya nam mera us ne lakiron ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.