zaKHm apna kisi ko dikhaya nahin
zaḳhm apnā kisī ko dikhāyā nahīñ
zindagī ko tamāshā banāyā nahīñ
ai ġhamo aao tum mere dil meñ raho
is havelī kā koī kirāya nahīñ
ek be-bas pe hañsne kā in.aam hai
phir kabhī umr-bhar muskurāyā nahīñ
vo bhī duniyā ko kahne lagā bevafā
jis ne va.ada kisī se nibhāyā nahīñ
terī yādoñ ke gunjān jangal meñ dil
is tarah kho gayā lauT paayā nahīñ
khul hī jā.egā saarā bharam is liye
dostoñ ko kabhī āzmāyā nahīñ
zaKHm apna kisi ko dikhaya nahin
zindagi ko tamasha banaya nahin
ai ghamo aao tum mere dil mein raho
is haweli ka koi kiraya nahin
ek be-bas pe hansne ka inam hai
phir kabhi umr-bhar muskuraya nahin
wo bhi duniya ko kahne laga bewafa
jis ne wada kisi se nibhaya nahin
teri yaadon ke gunjaan jangal mein dil
is tarah kho gaya lauT paya nahin
khul hi jaega sara bharam is liye
doston ko kabhi aazmaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.