zaKHm bhar jae to phir dard kahan rahta hai
zaKHm bhar jae to phir dard kahan rahta hai
Mohammad Naim Jawed Naim
MORE BYMohammad Naim Jawed Naim
zaḳhm bhar jaa.e to phir dard kahāñ rahtā hai
ujḌī bastī meñ koī fard kahāñ rahtā hai
rañg har shām-e-judā.ī kā judā hotā hai
sard mausam bhī sadā sard kahāñ rahtā hai
jaan dene kī jagah jaan na de paa.e to
apne paañv pe khaḌā mard kahāñ rahtā hai
dushman-e-jāñ hai to ik roz use khulnā hai
koī lashkar ho pas-e-gard kahāñ rahtā hai
dil meñ aa.ī ho agar surḳh gulāboñ kī bahār
rañg chehroñ kā bhalā zard kahāñ rahtā hai
jism saarā hai masīhā.ī kā tālib ab to
ik jagah jam ke tirā dard kahāñ rahtā hai
dil pe duniyā kī mohabbat kā ho qabza to 'na.īm'
aadmī apnā bhī hamdard kahāñ rahtā hai
zaKHm bhar jae to phir dard kahan rahta hai
ujDi basti mein koi fard kahan rahta hai
rang har sham-e-judai ka juda hota hai
sard mausam bhi sada sard kahan rahta hai
jaan dene ki jagah jaan na de pae to
apne panw pe khaDa mard kahan rahta hai
dushman-e-jaan hai to ek roz use khulna hai
koi lashkar ho pas-e-gard kahan rahta hai
dil mein aai ho agar surKH gulabon ki bahaar
rang chehron ka bhala zard kahan rahta hai
jism sara hai masihai ka talib ab to
ek jagah jam ke tera dard kahan rahta hai
dil pe duniya ki mohabbat ka ho qabza to 'naim'
aadmi apna bhi hamdard kahan rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.