zaKHm bhar jaenge lekin ek nishan rah jaega
zaKHm bhar jaenge lekin ek nishan rah jaega
Musarrat Jabeen Zeba
MORE BYMusarrat Jabeen Zeba
zaḳhm bhar jā.eñge lekin ik nishāñ rah jā.egā
kuchh bhī ho pahle kī tarah dil kahāñ rah jā.egā
tum chale jāoge lekin mere siine meñ sadā
raakh meñ lipTā huā ātish-fishāñ rah jā.egā
aañkh se meghā baras kar aap hī tham jā.egī
ghuT ke siine meñ kuchh aahoñ kā dhuāñ rah jā.egā
khīñch kar ruuh vaqt-e-ruḳhsat saath tum le jāoge
qaid meñ sāñsoñ kī qalb-e-nā-tavāñ rah jā.egā
ābla-pā.ī kā hāsil nā-murādī gar rahā
ārzūoñ kā bhaTak kar kārvāñ rah jā.egā
qabr par sham.a jalā kar tū mirī ruḳhsat huā
hashr tak rone ko mujh pe āsmāñ rah jā.egā
bijliyoñ kī nazr ho jā.egā dil kā āshiyāñ
sochtā huuñ kyā vo phir be-ḳhānumāñ rah jā.egā
luuT kar gul kā tabassum gar huī ruḳhsat ḳhizāñ
'zebā' ibrat ke liye phir gulsitāñ rah jā.egā
zaKHm bhar jaenge lekin ek nishan rah jaega
kuchh bhi ho pahle ki tarah dil kahan rah jaega
tum chale jaoge lekin mere sine mein sada
rakh mein lipTa hua aatish-fishan rah jaega
aankh se megha baras kar aap hi tham jaegi
ghuT ke sine mein kuchh aahon ka dhuan rah jaega
khinch kar ruh waqt-e-ruKHsat sath tum le jaoge
qaid mein sanson ki qalb-e-na-tawan rah jaega
aabla-pai ka hasil na-muradi gar raha
aarzuon ka bhaTak kar karwan rah jaega
qabr par shama jala kar tu meri ruKHsat hua
hashr tak rone ko mujh pe aasman rah jaega
bijliyon ki nazr ho jaega dil ka aashiyan
sochta hun kya wo phir be-KHanuman rah jaega
luT kar gul ka tabassum gar hui ruKHsat KHizan
'zeba' ibrat ke liye phir gulsitan rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.