zaKHm darkar hain sine ke liye
zaḳhm darkār haiñ siine ke liye
kuchh na kuchh chāhiye jiine ke liye
mai-kadā terā salāmat saaqī
aa ga.e the yūñhī piine ke liye
ghuT ke rah jaatī hai āvāz kī lau
har nafas bojh hai siine ke liye
zindagī kyā hai ye kis ko ma.alūm
log bas jiite haiñ jiine ke liye
koī andesha-e-tūfāñ bhī nahīñ
ġham ye kyā kam hai safīne ke liye
maiñ 'ziyā' huuñ koī suqrāt nahīñ
zahr kyoñ dete ho piine ke liye
zaKHm darkar hain sine ke liye
kuchh na kuchh chahiye jine ke liye
mai-kada tera salamat saqi
aa gae the yunhi pine ke liye
ghuT ke rah jati hai aawaz ki lau
har nafas bojh hai sine ke liye
zindagi kya hai ye kis ko malum
log bas jite hain jine ke liye
koi andesha-e-tufan bhi nahin
gham ye kya kam hai safine ke liye
main 'ziya' hun koi suqraat nahin
zahr kyon dete ho pine ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.