zaKHm dete jaen lekin fikr-e-marham bhi karen

zaKHm dete jaen lekin fikr-e-marham bhi karen
Shakeel Ibn-e-Sharaf
MORE BYShakeel Ibn-e-Sharaf
zaḳhm dete jaa.eñ lekin fikr-e-marham bhī kareñ
dard jab had se sivā ho jaa.e to kam bhī kareñ
ham se uljhoge to pachhtānā paḌegā ek din
darguzar jazbāt ko tum bhī karo ham bhī kareñ
kāTte haiñ raat din chakkar tire kūche kā ham
tujh se fursat paa.eñ to phir sair-e-‘ālam bhī kareñ
hijr kī shab meñ tire ḳhat ko paḌhā karte haiñ ham
niiñd aa.e to diye kī lau ko maddham bhī kareñ
apne dar par ham ko bulvāyā ġhanīmat hai yahī
ye zarūrī to nahīñ vo ḳhair-maqdam bhī kareñ
maut kī taklīf se bad-tar hai ranj-e-intizār
pāsdārī vaqt kī tum bhī karo ham bhī kareñ
'āshiqān-e-zulf-e-jānāñ ke 'ajab atvār haiñ
ḳhud giraftār-e-balā hoñ ḳhvāhish-e-ram bhī kareñ
apnā miTTī kā piyāla ham ko pyārā hai bahut
ham na deñge pesh agar vo sāġhar-e-jam bhī kareñ
us kī apnī soch hai ye us kā apnā zarf hai
be-vaqūfī kar rahā hai vo to kyā ham bhī kareñ
jaao ham ko aisī sardārī nahīñ karnī 'shakīl'
tā'ziya bhī ham banā.eñ aur mātam bhī kareñ
zaKHm dete jaen lekin fikr-e-marham bhi karen
dard jab had se siwa ho jae to kam bhi karen
hum se uljhoge to pachhtana paDega ek din
darguzar jazbaat ko tum bhi karo hum bhi karen
kaTte hain raat din chakkar tere kuche ka hum
tujh se fursat paen to phir sair-e-‘alam bhi karen
hijr ki shab mein tere KHat ko paDha karte hain hum
nind aae to diye ki lau ko maddham bhi karen
apne dar par hum ko bulwaya ghanimat hai yahi
ye zaruri to nahin wo KHair-maqdam bhi karen
maut ki taklif se bad-tar hai ranj-e-intizar
pasdari waqt ki tum bhi karo hum bhi karen
'ashiqan-e-zulf-e-jaanan ke 'ajab atwar hain
KHud giraftar-e-bala hon KHwahish-e-ram bhi karen
apna miTTi ka piyala hum ko pyara hai bahut
hum na denge pesh agar wo saghar-e-jam bhi karen
us ki apni soch hai ye us ka apna zarf hai
be-waqufi kar raha hai wo to kya hum bhi karen
jao hum ko aisi sardari nahin karni 'shakil'
ta'ziya bhi hum banaen aur matam bhi karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.