zaKHm deti rahi hai zat nae
zaḳhm detī rahī hai zaat na.e
gul khilātī rahī hayāt na.e
din rivāyāt kā asiir rahā
ḳhvāb dekhe har ek raat na.e
rahnumā kis ko chun liyā tum ne
pesh ā.eñge vāqi.āt na.e
dostī rasm yā rivāj nahīñ
aa.e din kyoñ takallufāt na.e
aap kho baiThe e'tibār apnā
kyā karūñ maiñ ye kāġhzāt na.e
aaj ham faisloñ ko kyoñ Tāleñ
kal nayā din muqaddimāt na.e
tujh se milne ke baad ḳhud se milā
mujh se mere ta.alluqāt na.e
tajribe aap kījiye sāhab
ham kareñge mushāhidāt na.e
shā.irī aap kī 'na.īm' hai kyā
tarz-e-kohna magar nikāt na.e
zaKHm deti rahi hai zat nae
gul khilati rahi hayat nae
din riwayat ka asir raha
KHwab dekhe har ek raat nae
rahnuma kis ko chun liya tum ne
pesh aaenge waqiat nae
dosti rasm ya riwaj nahin
aae din kyon takallufat nae
aap kho baiThe e'tibar apna
kya karun main ye kaghzat nae
aaj hum faislon ko kyon Talen
kal naya din muqaddimat nae
tujh se milne ke baad KHud se mila
mujh se mere talluqat nae
tajribe aap kijiye sahab
hum karenge mushahidat nae
shairi aap ki 'naim' hai kya
tarz-e-kohna magar nikat nae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.