zaKHm dikhane lag jati hai jaan ko aane lag jati hai
zaḳhm dikhāne lag jaatī hai jaan ko aane lag jaatī hai
raat ga.e tanhā.ī jis dam shor machāne lag jaatī hai
ishq dimāġh kī chakkar baazī husn sarāsar diid kā dhoka
dil ko ye sab kahte kahte umr Thikāne lag jaatī hai
us sharmīlī sī laḌkī se jab bhī dil kī hālat pūchhī
sīdhī baat nahīñ kartī hai nazm sunāne lag jaatī hai
raat ko mahram-e-rāz samajh kar raat se raaz kī baat kaho to
raat kahāñ chup rah paatī hai baat baḌhāne lag jaatī hai
andar ke hālāt ko bāhar kī duniyā se laakh chhupā.eñ
vahshat ghar kī bhedī ban kar lanka Dhāne lag jaatī hai
zaKHm dikhane lag jati hai jaan ko aane lag jati hai
raat gae tanhai jis dam shor machane lag jati hai
ishq dimagh ki chakkar bazi husn sarasar did ka dhoka
dil ko ye sab kahte kahte umr Thikane lag jati hai
us sharmili si laDki se jab bhi dil ki haalat puchhi
sidhi baat nahin karti hai nazm sunane lag jati hai
raat ko mahram-e-raaz samajh kar raat se raaz ki baat kaho to
raat kahan chup rah pati hai baat baDhane lag jati hai
andar ke haalat ko bahar ki duniya se lakh chhupaen
wahshat ghar ki bhedi ban kar lanka Dhane lag jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.