zaKHm dil ka har-nafas zaKHm-e-ana hota gaya
zaKHm dil ka har-nafas zaKHm-e-ana hota gaya
Syed Zafar Kashipurii
MORE BYSyed Zafar Kashipurii
zaḳhm dil kā har-nafas zaḳhm-e-anā hotā gayā
hādsa-dar-hādsa-dar-hādsa hotā gayā
aable paañv ke rāhoñ meñ the itne dil-shikan
lamha lamha raḳht-e-dil zanjīr-e-pā hotā gayā
muzmahil the ham bhī yaaro ye tamāsha dekh kar
aks ā.īne se Takrā kar judā hotā gayā
sub.h ke chehre se lipTī dhund kī afsurdagī
shaam kā ThiThurā badan jab be-ridā hotā gayā
nāla-o-fariyād se gūñjīñ fazā.eñ chār-sū
manzar-e-ḳhāmosh bhī harf-e-sadā hotā gayā
dil ke darvāze pe aakar kis ne dastak dī 'zafar'
āhaToñ ke dard se maiñ āshnā hotā gayā
zaKHm dil ka har-nafas zaKHm-e-ana hota gaya
hadsa-dar-hadsa-dar-hadsa hota gaya
aable panw ke rahon mein the itne dil-shikan
lamha lamha raKHt-e-dil zanjir-e-pa hota gaya
muzmahil the hum bhi yaro ye tamasha dekh kar
aks aaine se Takra kar juda hota gaya
subh ke chehre se lipTi dhund ki afsurdagi
sham ka ThiThura badan jab be-rida hota gaya
nala-o-fariyaad se gunjin fazaen chaar-su
manzar-e-KHamosh bhi harf-e-sada hota gaya
dil ke darwaze pe aakar kis ne dastak di 'zafar'
aahaTon ke dard se main aashna hota gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.