zaKHm dil par laga nahin hota
zaḳhm dil par lagā nahīñ hotā
haal aisā huā nahīñ hotā
zikr-e-jānāñ huā nahīñ hotā
zaḳhm-e-dil phir harā nahīñ hotā
chain se zindagī basar hotī
rog dil kā lagā nahīñ hotā
kuchh na kuchh baat ho ga.ī varna
dilrubā bevafā nahīñ hotā
uns iḳhlās aur vafādārī
dil meñ shā.ir ke kyā nahīñ hotā
dasht-o-sahrā meñ gar nahīñ phirte
paañv meñ aabla nahīñ hotā
tum se shikva hai bevafā.ī kā
sab se to ye gila nahīñ hotā
zulm baḌhtā hai roz zālim kā
ḳhatm ye silsila nahīñ hotā
chaar āñkheñ nahīñ huī hotīñ
pyaar kā hādisa nahīñ hotā
yaad aatī na ham ko jānāñ kī
jaam ġham kā bharā nahīñ hotā
adl ke beach koī haa.il hai
kyoñ koī faisla nahīñ hotā
kahkashāñ chāñd titliyāñ jugnū
zikr-e-jānāñ meñ kyā nahīñ hotā
rab ko be-shak pukārte haiñ ham
jab koī aasrā nahīñ hotā
haar jaatā huuñ maiñ anā se 'zakī'
sar ye kyoñ ma.arka nahīñ hotā
zaKHm dil par laga nahin hota
haal aisa hua nahin hota
zikr-e-jaanan hua nahin hota
zaKHm-e-dil phir hara nahin hota
chain se zindagi basar hoti
rog dil ka laga nahin hota
kuchh na kuchh baat ho gai warna
dilruba bewafa nahin hota
uns iKHlas aur wafadari
dil mein shair ke kya nahin hota
dasht-o-sahra mein gar nahin phirte
panw mein aabla nahin hota
tum se shikwa hai bewafai ka
sab se to ye gila nahin hota
zulm baDhta hai roz zalim ka
KHatm ye silsila nahin hota
chaar aankhen nahin hui hotin
pyar ka hadisa nahin hota
yaad aati na hum ko jaanan ki
jam gham ka bhara nahin hota
adl ke beach koi hail hai
kyon koi faisla nahin hota
kahkashan chand titliyan jugnu
zikr-e-jaanan mein kya nahin hota
rab ko be-shak pukarte hain hum
jab koi aasra nahin hota
haar jata hun main ana se 'zaki'
sar ye kyon marka nahin hota
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 16)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.