zaKHm-e-dil achchha hua pahlu badal jaane ke baad
zaḳhm-e-dil achchhā huā pahlū badal jaane ke ba.ad
dil kī dhaḌkan miT ga.ī aañsū nikal jaane ke ba.ad
va.ada-e-rañgīñ se hogā haa.e kyā ḳhaak ehtimām
aarzū ke phuul chuTkī se masal jaane ke ba.ad
kyā kareñ ḳhūn-e-tarab kī surḳhī-e-afsāna ko
rañg-o-bū kī rā.egāñ ghaḌiyoñ ke Tal jaane ke ba.ad
mai uñDelī bhī jo mīnāoñ meñ saaqī ne to kab
shīsha-hā-e-rañg se mausam nikal jaane ke ba.ad
DhūñDte phirte haiñ ḳhud dair-o-haram ke pāsbāñ
hosh-mandān-e-ḳhirad kā dam nikal jaane ke ba.ad
kaun afsurda javānī ko jilā degā 'ḳhizar'
ahd-e-nāv-nosh kī sham.eñ pighal jaane ke ba.ad
zaKHm-e-dil achchha hua pahlu badal jaane ke baad
dil ki dhaDkan miT gai aansu nikal jaane ke baad
wada-e-rangin se hoga hae kya KHak ehtimam
aarzu ke phul chuTki se masal jaane ke baad
kya karen KHun-e-tarab ki surKHi-e-afsana ko
rang-o-bu ki raegan ghaDiyon ke Tal jaane ke baad
mai unDeli bhi jo minaon mein saqi ne to kab
shisha-ha-e-rang se mausam nikal jaane ke baad
DhunDte phirte hain KHud dair-o-haram ke pasban
hosh-mandan-e-KHirad ka dam nikal jaane ke baad
kaun afsurda jawani ko jila dega 'KHizar'
ahd-e-naw-nosh ki shamen pighal jaane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.