zaKHm-e-dil apna kabhi usko dikha bhi dena
zaKHm-e-dil apna kabhi usko dikha bhi dena
Abdus Sami Siddiqui Naeem
MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem
zaḳhm-e-dil apnā kabhī us ko dikhā bhī denā
us kī sun lenā kabhī us ko sunā bhī denā
āñsuoñ aur sharāboñ kī kahānī kab tak
mirī ġhazloñ ko koī rang nayā bhī denā
maiñ huuñ manzil kā talabgār magar rāh-numā
mujh ko do chaar qadam rāh-e-vafā bhī denā
tire ehsān na hargiz maiñ kabhī bhūlūñgā
bhuul jā.ūñ to mujhe yaad dilā bhī denā
vo 'na'īm' aaj na mānegā magar tum hī kabhī
us se milnā bhī use ḳhud se milā bhī denā
zaKHm-e-dil apna kabhi us ko dikha bhi dena
us ki sun lena kabhi us ko suna bhi dena
aansuon aur sharabon ki kahani kab tak
meri ghazlon ko koi rang naya bhi dena
main hun manzil ka talabgar magar rah-numa
mujh ko do chaar qadam rah-e-wafa bhi dena
tere ehsan na hargiz main kabhi bhulunga
bhul jaun to mujhe yaad dila bhi dena
wo 'na'im' aaj na manega magar tum hi kabhi
us se milna bhi use KHud se mila bhi dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.