zaKHm-e-dil-gir ko lahu kar ke
zaḳhm-e-dil-gīr ko lahū kar ke
tujh ko DhūñDūñ hai aarzū kar ke
ek terī talāsh meñ ham ne
ḳhud ko kho Daalā kū-ba-kū kar ke
phir se jā.ūñgā us kī mahfil meñ
apne har zaḳhm ko lahū kar ke
ishq tujh ko kahāñ pe le aayā
vo pukārā hai mujh ko tū kar ke
dekh le ḳhaak ho gayā hai dil
raat din terī justujū kar ke
ham ne aurāq-e-zindagī 'kāshif'
ḳhud hī joḌe haiñ chār-sū kar ke
zaKHm-e-dil-gir ko lahu kar ke
tujh ko DhunDun hai aarzu kar ke
ek teri talash mein hum ne
KHud ko kho Dala ku-ba-ku kar ke
phir se jaunga us ki mahfil mein
apne har zaKHm ko lahu kar ke
ishq tujh ko kahan pe le aaya
wo pukara hai mujh ko tu kar ke
dekh le KHak ho gaya hai dil
raat din teri justuju kar ke
hum ne auraq-e-zindagi 'kashif'
KHud hi joDe hain chaar-su kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.