zaKHm-e-dil ho gae nasur tumhein kya malum
zaḳhm-e-dil ho ga.e nāsūr tumheñ kyā ma.alūm
tum to ho mujh se bahut duur tumheñ kyā ma.alūm
mere hoñToñ ke tabassum pe na jaanā hargiz
hāl-e-barbādī-e-majbūr tumheñ kyā ma.alūm
kab sitāroñ kā jahāñ ho gayā tārīk nazar
chāñdnī kab huī be-nūr tumheñ kyā ma.alūm
roz-o-shab kis pe baraste haiñ sitam ke patthar
dard se kaun huā chor tumheñ kyā ma.alūm
kitne ālām-o-masā.ib se guzartā huuñ maiñ
ishq ke kyā kyā haiñ dastūr tumheñ kyā ma.alūm
kyā batāoge 'asad' TuuT ke kyā bikhrā hai
tum to ho aaj bhī maḳhmūr tumheñ kyā ma.alūm
zaKHm-e-dil ho gae nasur tumhein kya malum
tum to ho mujh se bahut dur tumhein kya malum
mere honTon ke tabassum pe na jaana hargiz
haal-e-barbaadi-e-majbur tumhein kya malum
kab sitaron ka jahan ho gaya tarik nazar
chandni kab hui be-nur tumhein kya malum
roz-o-shab kis pe baraste hain sitam ke patthar
dard se kaun hua chor tumhein kya malum
kitne aalam-o-masaib se guzarta hun main
ishq ke kya kya hain dastur tumhein kya malum
kya bataoge 'asad' TuT ke kya bikhra hai
tum to ho aaj bhi maKHmur tumhein kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.