zaKHm-e-dil ka ho mudawa mujhe manzur nahin
zaḳhm-e-dil kā ho mudāvā mujhe manzūr nahīñ
ziist kā merī sahārā hai ye nāsūr nahīñ
māñgtā huuñ maiñ tujhe tujh se nayā hai ye savāl
baat rad karnā gadā kī terā dastūr nahīñ
aap aa jaa.eñ dam-e-naz.a mujhe lene ko
aap kī shān-e-karam se to ye kuchh duur nahīñ
aish ke sab hī haiñ sāmān mayassar lekin
merā saaqī nahīñ vo bāda-e-maḳhmūr nahīñ
aarzū diid kī 'arse se dobāra hai mujhe
ek hī baar meñ jal jaa.e ye vo tuur nahīñ
aap kā jaur-o-sitam aur ziyāda ho sadā
ho ifāqa ye 'vafā' ko merī manzūr nahīñ
zaKHm-e-dil ka ho mudawa mujhe manzur nahin
zist ka meri sahaara hai ye nasur nahin
mangta hun main tujhe tujh se naya hai ye sawal
baat rad karna gada ki tera dastur nahin
aap aa jaen dam-e-naza mujhe lene ko
aap ki shan-e-karam se to ye kuchh dur nahin
aish ke sab hi hain saman mayassar lekin
mera saqi nahin wo baada-e-maKHmur nahin
aarzu did ki 'arse se dobara hai mujhe
ek hi bar mein jal jae ye wo tur nahin
aap ka jaur-o-sitam aur ziyaada ho sada
ho ifaqa ye 'wafa' ko meri manzur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.