zaKHm-e-dil main dikhate dikhate thaka
zaḳhm-e-dil maiñ dikhāte dikhāte thakā
dard apnā sunāte sunāte thakā
dī tavajjoh kisī ne na merī taraf
maiñ tavajjoh dilāte dilāte thakā
zaḳhm bharne meñ aayā nahīñ aaj tak
vaqt marham lagāte lagāte thakā
aap aa.e na aane kā va.ada kiyā
aap ko maiñ bulāte bulāte thakā
tez jhoñke havā ke bujhāte ga.e
maiñ to sham.eñ jalāte jalāte thakā
tū banā.e to 'rānā' bane baat kuchh
varna maiñ to banāte banāte thakā
zaKHm-e-dil main dikhate dikhate thaka
dard apna sunate sunate thaka
di tawajjoh kisi ne na meri taraf
main tawajjoh dilate dilate thaka
zaKHm bharne mein aaya nahin aaj tak
waqt marham lagate lagate thaka
aap aae na aane ka wada kiya
aap ko main bulate bulate thaka
tez jhonke hawa ke bujhate gae
main to shamen jalate jalate thaka
tu banae to 'rana' bane baat kuchh
warna main to banate banate thaka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.