zaKHm-e-dil par gulab rakkha hai
zaḳhm-e-dil par gulāb rakkhā hai
yā koī māhtāb rakkhā hai
ḳhud ko taqsīm kar ke rishtoñ meñ
kaisā dil kā hisāb rakkhā hai
pyaar se baḌh ke koī duniyā meñ
mere rab ne 'azāb rakkhā hai
merī be-ḳhvāb sī in āñkhoñ meñ
us kī chāhat kā ḳhvāb rakkhā hai
apne har ik savāl meñ likh kar
us ne koī javāb rakkhā hai
kar ke sairāb saare 'ālam ko
naam apnā sarāb rakkhā hai
ḳhaas chashm-e-karam hai rab kī 'sabīn'
mujh ko ahl-e-kitāb rakkhā hai
zaKHm-e-dil par gulab rakkha hai
ya koi mahtab rakkha hai
KHud ko taqsim kar ke rishton mein
kaisa dil ka hisab rakkha hai
pyar se baDh ke koi duniya mein
mere rab ne 'azab rakkha hai
meri be-KHwab si in aankhon mein
us ki chahat ka KHwab rakkha hai
apne har ek sawal mein likh kar
us ne koi jawab rakkha hai
kar ke sairab sare 'alam ko
nam apna sarab rakkha hai
KHas chashm-e-karam hai rab ki 'sabin'
mujh ko ahl-e-kitab rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.