zaKHm-e-dil tar-tar mat karna
zaḳhm-e-dil tār-tār mat karnā
zikr maazī kā yaar mat karnā
ham ne phūloñ se zaḳhm khaa.e haiñ
ham se zikr-e-bahār mat karnā
jab talak mutma.in na ho jaao
rāz-e-dil āshkār mat karnā
ye tabassum sazā na ban jaa.e
ye ḳhatā baar baar mat karnā
aañkh ban kar ke rāz-dāroñ meñ
har kisī kā shumār mat karnā
log dil meñ nifāq rakhte haiñ
ujlat-e-e.atibār mat karnā
tujh ko buzdil shumār kar leñge
chhup ke pīchhe se vaar mat karnā
zindagī kā bhī ek maqsad hai
har jagah jaañ nisār mat karnā
zaKHm-e-dil tar-tar mat karna
zikr mazi ka yar mat karna
hum ne phulon se zaKHm khae hain
hum se zikr-e-bahaar mat karna
jab talak mutmain na ho jao
raaz-e-dil aashkar mat karna
ye tabassum saza na ban jae
ye KHata bar bar mat karna
aankh ban kar ke raaz-daron mein
har kisi ka shumar mat karna
log dil mein nifaq rakhte hain
ujlat-e-eatibar mat karna
tujh ko buzdil shumar kar lenge
chhup ke pichhe se war mat karna
zindagi ka bhi ek maqsad hai
har jagah jaan nisar mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.