zaKHm-e-hijran ki mudawat se pahle pahle
zaḳhm-e-hijrāñ kī mudāvāt se pahle pahle
dard raqsāñ hai mulāqāt se pahle pahle
qaid-e-zindāñ ho yā ho faisla sarkūbī kā
lāzima sochiye haq baat se pahle pahle
kaash vo aaj palaT aa.e kisī bhī sūrat
chāñdnī raat kī barsāt se pahle pahle
raah se bhaTkī na.ī nasl bachānī hai hameñ
mumkina āmad-e-āfāt se pahle pahle
kaise mahfūz rakhā jā.egā tūfāñ meñ shajar
koī tadbīr ho samrāt se pahle pahle
sochiye qaum ko bharpā.ī na karnī paḌ jaa.e
vaqt be-vaqt ke jazbāt se pahle pahle
dar nahīñ lāzmī buniyād kī mazbūtī hai
aane vaale bure hālāt se pahle pahle
log ḳhush hoñ ki na hoñ rab to ho raazī 'as.ad'
ziist ke āḳhrī lamhāt se pahle pahle
zaKHm-e-hijran ki mudawat se pahle pahle
dard raqsan hai mulaqat se pahle pahle
qaid-e-zindan ho ya ho faisla sarkubi ka
lazima sochiye haq baat se pahle pahle
kash wo aaj palaT aae kisi bhi surat
chandni raat ki barsat se pahle pahle
rah se bhaTki nai nasl bachani hai hamein
mumkina aamad-e-afat se pahle pahle
kaise mahfuz rakha jaega tufan mein shajar
koi tadbir ho samraat se pahle pahle
sochiye qaum ko bharpai na karni paD jae
waqt be-waqt ke jazbaat se pahle pahle
dar nahin lazmi buniyaad ki mazbuti hai
aane wale bure haalat se pahle pahle
log KHush hon ki na hon rab to ho raazi 'asad'
zist ke aaKHri lamhat se pahle pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.