zaKHm gahra kahan nahin hota
zaḳhm gahrā kahāñ nahīñ hotā
haal dil kā bayāñ nahīñ hotā
pyaar dhokā vafā jafā kyā kyā
is jahāñ meñ kahāñ nahīñ hotā
phir kahīñ bhī sukūñ nahīñ miltā
vaqt jab mehrbāñ nahīñ hotā
raat jaltī rahī thī vo sham.a
dard jis kā bayāñ nahīñ hotā
ek 'sāġhar' ḳhudā kā ghar hai bas
ġham kā jis jā nishāñ nahīñ hotā
zaKHm gahra kahan nahin hota
haal dil ka bayan nahin hota
pyar dhoka wafa jafa kya kya
is jahan mein kahan nahin hota
phir kahin bhi sukun nahin milta
waqt jab mehrban nahin hota
raat jalti rahi thi wo shama
dard jis ka bayan nahin hota
ek 'saghar' KHuda ka ghar hai bas
gham ka jis ja nishan nahin hota
- Book : احتزاز غزل (Pg. 26)
- Author : ساغر سیالکوٹی
- Publication : ساہتیہ کلش پبلی کیشن (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.