zaKHm gahre the bhala kaise mudawa karte
zaḳhm gahre the bhalā kaise mudāvā karte
kuchh na hotā jo agar ḳhud kā tamāshā karte
jhuuT hī hotā magar ḳhvāb to hotā koī
vo hamārā hai sar-e-rāh dikhāvā karte
baat be-bāt vo rakkhe to bharam chāhat kā
ham bhī ḳhāmosh koī tark-e-tamannā karte
merī in āñkhoñ meñ jugnū se chamakte haiñ ka.ī
ḳhvāb aate haiñ mirā niiñd meñ pīchhā karte
ham se tā-umr lipaT jaa.e to ārām mile
ham bhī har vaqt use pyaar se dekhā karte
sher kahte haiñ to jiine kā shu.ūr aatā hai
gar na kahte to bhalā kaise guzārā karte
zaKHm gahre the bhala kaise mudawa karte
kuchh na hota jo agar KHud ka tamasha karte
jhuT hi hota magar KHwab to hota koi
wo hamara hai sar-e-rah dikhawa karte
baat be-baat wo rakkhe to bharam chahat ka
hum bhi KHamosh koi tark-e-tamanna karte
meri in aankhon mein jugnu se chamakte hain kai
KHwab aate hain mera nind mein pichha karte
hum se ta-umr lipaT jae to aaram mile
hum bhi har waqt use pyar se dekha karte
sher kahte hain to jine ka shuur aata hai
gar na kahte to bhala kaise guzara karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.