zaKHm-ha-e-dil ko unki KHak-e-pa yaad aa gai
zaKHm-ha-e-dil ko unki KHak-e-pa yaad aa gai
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
zaḳhm-hā-e-dil ko un kī ḳhāk-e-pā yaad aa ga.ī
ishq ke āzār kī āḳhir davā yaad aa ga.ī
vaqt-e-ruḳhsat kyā batā.eñ jaan par kyūñkar banī
us ne muñh moḌā hī thā ham ko qazā yaad aa ga.ī
aaj jab barham huā mujh se zamāne kā mizāj
barhamī-e-husn kī dilkash adā yaad aa ga.ī
un kā kyā shikva taġhayyur hai yahāñ har chiiz ko
naaz thā jin par kabhī un kī vafā yaad aa ga.ī
dil hī dil meñ rah gayā merā duā kā ishtiyāq
be-asar niklī thī pahle vo duā yaad aa ga.ī
maiñ bhulānā chāhtā thā zehn se majbūr thā
hijr meñ ik ek kar ke har balā yaad aa ga.ī
sote sote hañs rahe the ḳhvāb meñ aaya thā kaun
baiThe baiThe ro diye kis kī 'shifā' yaad aa ga.ī
zaKHm-ha-e-dil ko un ki KHak-e-pa yaad aa gai
ishq ke aazar ki aaKHir dawa yaad aa gai
waqt-e-ruKHsat kya bataen jaan par kyunkar bani
us ne munh moDa hi tha hum ko qaza yaad aa gai
aaj jab barham hua mujh se zamane ka mizaj
barhami-e-husn ki dilkash ada yaad aa gai
un ka kya shikwa taghayyur hai yahan har chiz ko
naz tha jin par kabhi un ki wafa yaad aa gai
dil hi dil mein rah gaya mera dua ka ishtiyaq
be-asar nikli thi pahle wo dua yaad aa gai
main bhulana chahta tha zehn se majbur tha
hijr mein ek ek kar ke har bala yaad aa gai
sote sote hans rahe the KHwab mein aaya tha kaun
baiThe baiThe ro diye kis ki 'shifa' yaad aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.