zaKHm har ek bhar jata hai
zaḳhm har ik bhar jaatā hai
vaqt sahī jab aatā hai
sūraj chhup jaane ke baad
ik jugnūñ sharmātā hai
kartā hai jannat jannat
dhartī par mar jaatā hai
ab to sirf añdherā hī
raah hameñ dikhlātā hai
koī pūchhe mujh se bhī
mujh ko bhī kuchh bhātā hai
jab se TuuTā darvāza
har koī aatā jaatā hai
zaKHm har ek bhar jata hai
waqt sahi jab aata hai
suraj chhup jaane ke baad
ek jugnun sharmata hai
karta hai jannat jannat
dharti par mar jata hai
ab to sirf andhera hi
rah hamein dikhlata hai
koi puchhe mujh se bhi
mujh ko bhi kuchh bhata hai
jab se TuTa darwaza
har koi aata jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.