zaKHm kha ke bhi muskuraate hain
zaḳhm khā ke bhī muskurāte haiñ
ham haiñ patthar bikhar na paate haiñ
koī pahchān hī na le ham ko
rañg meñ shaam ham milāte haiñ
ḳhvāb kā intizār ḳhatm huā
aañkh ko niiñd se jagāte haiñ
shaam ke vaqt hijratī patte
sabz peḌoñ kā ġham manāte haiñ
'āsima' raushnī bhare alfāz
apne andar hī jhilmilāte haiñ
zaKHm kha ke bhi muskuraate hain
hum hain patthar bikhar na pate hain
koi pahchan hi na le hum ko
rang mein sham hum milate hain
KHwab ka intizar KHatm hua
aankh ko nind se jagate hain
sham ke waqt hijrati patte
sabz peDon ka gham manate hain
'asima' raushni bhare alfaz
apne andar hi jhilmilate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.