zaKHm khate hain ji jalate hain
zaḳhm khāte haiñ jī jalāte haiñ
ham kahāñ aise baaz aate haiñ
zindagī roz ghaTtī jaatī hai
mas.ale roz baḌhte jaate haiñ
ab kahāñ bhuut aur balā.eñ rahīñ
aadmī aadmī ko khāte haiñ
ek vo ham se duur rah ke bhī ḳhush
ek ham apnā dil jalāte haiñ
ḳhaak se ḳhaak bhī nahīñ miltī
roz ham ḳhaak chhān aate haiñ
mausam-e-nā-rasā.ī aayā hai
sabr kī fasl ab ugāte haiñ
zaKHm khate hain ji jalate hain
hum kahan aise baz aate hain
zindagi roz ghaTti jati hai
masale roz baDhte jate hain
ab kahan bhut aur balaen rahin
aadmi aadmi ko khate hain
ek wo hum se dur rah ke bhi KHush
ek hum apna dil jalate hain
KHak se KHak bhi nahin milti
roz hum KHak chhan aate hain
mausam-e-na-rasai aaya hai
sabr ki fasl ab ugate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.