zaKHm khate hue girne ki adakari ki
zaḳhm khāte hue girne kī adākārī kī
us ne ik vaar kiyā maiñ ne samajhdārī kī
aap milte the to phir jaan fidā karte the
intihā thī hī nahīñ aap kī 'ayyārī kī
tū 'ilāj-e-dil-e-betāb kā beḌā na uThā
tujh se tashḳhīs na hogī mirī bīmārī kī
dekhte dekhte hote the alaao raushan
log sunte the kahānī mirī chingārī kī
'ain mumkin hai ki maiñ ḳhud bhī yahīñ rah jā.ūñ
itnī 'ujlat meñ agar kuuch kī tayyārī kī
log to ḳhū-e-baġhāvat ko burā jānte the
ham ne is shahr meñ ik rasm na.ī jaarī kī
is meñ merā koī e'jāz nahīñ hai 'maz.har'
is qabīle meñ rivāyat hai vafādārī kī
zaKHm khate hue girne ki adakari ki
us ne ek war kiya main ne samajhdari ki
aap milte the to phir jaan fida karte the
intiha thi hi nahin aap ki 'ayyari ki
tu 'ilaj-e-dil-e-betab ka beDa na uTha
tujh se tashKHis na hogi meri bimari ki
dekhte dekhte hote the alao raushan
log sunte the kahani meri chingari ki
'ain mumkin hai ki main KHud bhi yahin rah jaun
itni 'ujlat mein agar kuch ki tayyari ki
log to KHu-e-baghawat ko bura jaante the
hum ne is shahr mein ek rasm nai jari ki
is mein mera koi e'jaz nahin hai 'mazhar'
is qabile mein riwayat hai wafadari ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.