zaKHm khulte hain choT khane mein
zaḳhm khulte haiñ choT khāne meñ
aañkh bhar aa.ī muskurāne meñ
ye mirī aañkh kyoñ nahīñ lagtī
kyā qabāhat hai niiñd aane meñ
ek do din meñ ghar nahīñ bante
chāhiye umr ik banāne meñ
asr-e-nau kāmyāb kyā hogā
merī tahzīb ko miTāne meñ
kyā sila hai mohabbatoñ kā 'hakīm'
qīmateñ gir ga.iiñ zamāne meñ
zaKHm khulte hain choT khane mein
aankh bhar aai muskurane mein
ye meri aankh kyon nahin lagti
kya qabahat hai nind aane mein
ek do din mein ghar nahin bante
chahiye umr ek banane mein
asr-e-nau kaamyab kya hoga
meri tahzib ko miTane mein
kya sila hai mohabbaton ka 'hakim'
qimaten gir gain zamane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.