zaKHm-KHurda to usi ka tha sipar kya leta
zaḳhm-ḳhurda to usī kā thā sipar kyā letā
apnī taḳhlīq se maiñ dād-e-hunar kyā letā
vo kisī aur tasalsul meñ rahā mahv-e-kalām
merī bātoñ kā bhalā dil pe asar kyā letā
us ko fursat hī na thī nāz-e-masīhā.ī se
apne bīmār kī vo ḳhair-ḳhabar kyā letā
ek āvāz pe maqsūm thā chalte rahnā
be-ta.ayyun thā safar raḳht-e-safar kyā letā
sāz-e-lab guñg the be-nūr thī qindīl-e-nazar
aise māhaul meñ ilzām-e-hunar kyā letā
be-niyāzāna rahā apnī ravish par 'mohsin'
shab-parastoñ se bhalā fāl-e-sahar kyā letā
zaKHm-KHurda to usi ka tha sipar kya leta
apni taKHliq se main dad-e-hunar kya leta
wo kisi aur tasalsul mein raha mahw-e-kalam
meri baaton ka bhala dil pe asar kya leta
us ko fursat hi na thi naz-e-masihai se
apne bimar ki wo KHair-KHabar kya leta
ek aawaz pe maqsum tha chalte rahna
be-tayyun tha safar raKHt-e-safar kya leta
saz-e-lab gung the be-nur thi qindil-e-nazar
aise mahaul mein ilzam-e-hunar kya leta
be-niyazana raha apni rawish par 'mohsin'
shab-paraston se bhala fal-e-sahar kya leta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.