zaKHm ki fasl ab hari samjho
zaḳhm kī fasl ab harī samjho
ye mulāqāt āḳhirī samjho
niyatoñ ke samar se miltā hai
is davā.ī ko dā.imī samjho
ab ye dīvār girne vaalī hai
apnī tasvīr aarzī samjho
maiñ tujhe tujh se chhīn saktī huuñ
apnī hālat ko bebasī samjho
ab ye parde kā Dhoñg izāfī hai
maiñ samajhtī huuñ aap bhī samjho
zaKHm ki fasl ab hari samjho
ye mulaqat aaKHiri samjho
niyaton ke samar se milta hai
is dawai ko daimi samjho
ab ye diwar girne wali hai
apni taswir aarzi samjho
main tujhe tujh se chhin sakti hun
apni haalat ko bebasi samjho
ab ye parde ka Dhong izafi hai
main samajhti hun aap bhi samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.