zaKHm ko marham karenge aap rahne dijiye
zaḳhm ko marham kareñge aap rahne dījiye
kaam ye bhī ham kareñge aap rahne dījiye
ḳhairiyat ko aap aa.e to baḌī hairat huī
dukh hamārā kam kareñge aap rahne dījiye
aap ne aañsū diye haiñ aur ab mere liye
aap āñkheñ nam kareñge aap rahne dījiye
'ishq kā mujh ko maraz hai kyā davā aur kyā du'ā
paḌh ke kyā kyā dam kareñge aap rahne dījiye
aap kī fitrat meñ hai vā'da-ḳhilāfī is liye
'ahd-o-paimāñ ham kareñge aap rahne dījiye
aap kī āñkhoñ ke aañsū ab hamāre naam haiñ
ham inheñ shabnam kareñge aap rahne dījiye
kāmyābī ke liye 'fārūq' lāzim hai yahī
'azm ko mohkam kareñge aap rahne dījiye
zaKHm ko marham karenge aap rahne dijiye
kaam ye bhi hum karenge aap rahne dijiye
KHairiyat ko aap aae to baDi hairat hui
dukh hamara kam karenge aap rahne dijiye
aap ne aansu diye hain aur ab mere liye
aap aankhen nam karenge aap rahne dijiye
'ishq ka mujh ko maraz hai kya dawa aur kya du'a
paDh ke kya kya dam karenge aap rahne dijiye
aap ki fitrat mein hai wa'da-KHilafi is liye
'ahd-o-paiman hum karenge aap rahne dijiye
aap ki aankhon ke aansu ab hamare nam hain
hum inhen shabnam karenge aap rahne dijiye
kaamyabi ke liye 'faruq' lazim hai yahi
'azm ko mohkam karenge aap rahne dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.