zaKHm ko phul lahu ko jo hina kahte hain
zaḳhm ko phuul lahū ko jo hinā kahte haiñ
un ko shā.ir nahīñ shā.ir kā chachā kahte haiñ
ham to patlī sī chhaḌī bhī nahīñ kahte us ko
log aulād ko piirī kā asā kahte haiñ
sirf afsar use kahnā to koī baat nahīñ
ham to sāhab ko clerkoñ kā ḳhudā kahte haiñ
shādiyāñ apnī kiyā karte haiñ jo le ke talāq
un ko sab log gadā ibn-e-gadā kahte haiñ
us ko piite hī kiyā kartā huuñ meñ sair-e-falak
āsmānī use sab log bajā kahte haiñ
āḳhirash ho hī gayā shaiḳh se aur ham se milāp
vo bhatījā hameñ ham un ko chachā kahte haiñ
sun ke āvāz-e-azāñ mis ne ye pūchhā 'hāshim'
is qadar chīḳh ke masjid meñ ye kyā kahte haiñ
zaKHm ko phul lahu ko jo hina kahte hain
un ko shair nahin shair ka chacha kahte hain
hum to patli si chhaDi bhi nahin kahte us ko
log aulad ko piri ka asa kahte hain
sirf afsar use kahna to koi baat nahin
hum to sahab ko clerkon ka KHuda kahte hain
shadiyan apni kiya karte hain jo le ke talaq
un ko sab log gada ibn-e-gada kahte hain
us ko pite hi kiya karta hun mein sair-e-falak
aasmani use sab log baja kahte hain
aaKHirash ho hi gaya shaiKH se aur hum se milap
wo bhatija hamein hum un ko chacha kahte hain
sun ke aawaz-e-azan mis ne ye puchha 'hashim'
is qadar chiKH ke masjid mein ye kya kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.